A Tribute to Sushant Singh Rajput
Team Atverts pays tribute to our very own Sushant Singh Rajput. Yet another dark day in Bollywood that won’t be forgotten. Wherever you are sir, we hope you rest in peace.
At Pen: Anjali Dubey
Aj subha neend khuli to zehen me ye gana
“khairiyat poocho kabhi to kaifiyat poocho,tumhare dil diwane ka kya haal hai?"
Goonj utha...
Iss baat se anjaan ki anjaam kuch aur hai... poore din isey hi gungunane lagi..
Bina ye jane ki ....aj k baad apni 'khairiyat' batane ke liye tum jahaa'n me hogey hi nahi!
Ye 'besabriyan' yahin tham jayengi
Woh 'Raabta' phir judega nahi
"Jaa'n nisar' abb hogi nahi!
Aisa kyun bolo?
Lagta hai bas 'kal ki hi baat hai'
'Woh din', wo muskurahat abb wapas koi laye bhi to kaise?
Tum 'qafiraana' kyu ho gaye?
Q aisey ghum ho gaye?
Jo khwab roothey they...
Unhe mana letey...
Kati ummedo'n ki patang thi na?
Arey yaar unhe thaam lete!
Tumhi to kehte the
“Rishte pankho ko hawa denge Rishte dard ko dawa denge, Jeet kabhi haar kabhi ,Ghum to yaaro honge do pal ke mehmaan"
Yaar Suljha lete uljhe rishto'n ka manjha!
Ye 'lambiyaan si judaiyaan' hum sabko betahasha dard de dengi!
Tum humesha "gulaabi shaam" se hum sab ki yado'n me zinda rahogey!
Template designed by:
Comments