KOLKATA - EK JAZBAAT
Updated: Jan 19, 2021
At Pen: Anjali Dubey
KOLKATA-EK JAZBAAT
Iss sheher ki baat hi kuch alag hai ,
ye mehez ek sheher nahi ,jazbaat hai,
Ek bhatakte musafir ko safar ki ibteda se mili ,Khushiyon se, ek suhani mulaqaat hai,
Koi 'phuchke' ki khatas sa natkhat,
koi 'mishti doi' sa meetha or sureela,
Deviyo'n ki nagri hai ye janaab,
Yahan "maa" kehlaati hai har mahila!
Yahan mitti se banti hai chai ki pyali,
Aur milti hai addo'n pe yaari nirali,
Hai baul geeto'n se saja ye gharana,
Hai bharat dilo'n mein aur boli bangali.
Iss Sheher ke darwazey kabhi band nahi hotey,
Suna hai yahan khwabo'n ke panchi, kabhi nahi sotey.
Yahan milti hai udaan , sapno ko,
Yahan milte hain apne, apno ko,
mukhtalif armaano'n se ranga hai ye sheher ,
yaha'n hulchul din-raat hai,
Kolkata......
Mehez ek sheher nahi, balki jazbaat hai!!
Template designed by:
Comments