PHOOLO'N SI HAI TU
At Pen: Anjali Dubey
“PHOOLO'N SI HAI TU"
________________________
Phoolo'n si hai tu , Teri baatein.
Nazuk itni...... ki dar lagta hai,
Kahi'n toot na jaye,
Jo sajdo'n ke baad paya hai saath tera,
Wo saath, haatho'n se tere kahin chhoot na jaye.
Phoolo'n si hai tu , teri khushboo se,
Mehekti hai zindagi meri ,
tere ishq mein chaar-su deewaangi si hai ,
Aur dil me ravaa.n hai 'aarzoo' teri!
Phoolo'n si hai tu, aisi hi rehna,
Ye khilkhilati saadgi , tera hai gehna.
Hai khoobsoorat is qadar ki kya batayein,
Gulabi honth,resham zulf, faqat ek hoor hai tu!
Tere bass 'aks' ke deedar bhar pe , lutt gaye they,
"Yakee'n kar ,
Dil ki galiyo'n me meri mashoor hai tu!"
Phoolo'n si hai tu...
meri kismat ki kaali raat ko raushan bana ney,
Khuda ka ek maseeha, zindagi ka noor hai tu! Haan noor hai tu!!
Template designed by:
Comments